|
MAY B KAYSA IDAKAAR HON DOSTOW
Gum kay chahray per khushe ka gaza malay saree dunyan ko ibtak hensata raha
Apnay dil ke omangon ka khon ghol kir mahfelon may May pilata raha
Jib b izharay-gum ke zarorat hoe shar kahta raha gungunata raha
Youn tu tazeer akhfaey-gum kay liyya m nay mana sazawar hon dostow
Tum ko yah baat tu manni he paree may b kaysa idakaar hon dostow
Apnay oosaf ke baat jib b chiree burmala iske taeid kirta raha
Apni kohtaeyoun ke her baat per may kay purzoor tardeed kirta raha
Apnay chak-e- girayban may jhanka he nahe or logon per tanqeed kirta raha
Meray oosaaf may mera bahroop-pun such tu yah hay khatakaar hon dostow
May b kaysa idakaar hon dostow, May b kaysa idakaar hon dostow
On ko dil ke lagun may jetata raha jin say dil ko beh koe ligaoo nahe
Zindage bher m nay on say nebaha kiya jin say pal bher ka mumkin nebahoo nahe
Ik pither kay aagay may kud b jhuk gaya jib yah dhakha kay is may jhukaoo nahe
Muj ko pither simajtay rahay aaj tik maytu itna lichukdaar hon dostoo
May b kaysa idakaar hon dostow, May b kaysa idakaar hon dostow
Meray chirnoo may kitne haseen daseyan phol chahet kay ibtuk chirhati rahee
Apnay supnoo ke mala liyya hath may geet meree aakedat kay gatee rahee
Aarti kay aager deep bujhnay liggay,apnee palkon say shumma jilati rahee
May nay in per yah zaher na honnay diyya may tu kud b hon gunagaar dostoo
May b kaysa idakaar hon dostow, May b kaysa idakaar hon dostow
Parsaoon nay simjah farishta mujhay, rund bolay kay m ik bila nosh hon
Dostoo nay jafakush jana mujhay dushmanoo nay kaha may wafakoosh hon
Gaar pehchantay kiya phir gaar thay such tu yah hay kay may kud-faramoosh hon
Ik muimma hon may ap apnay liyya may sirapa-pursarar hon dostoo
May b kaysa idakaar hon dostow, May b kaysa idakaar hon dostow
By
Murtaza Burlaas
“irtaash” |
Islamabad
Pakistan